Saltar al contenido
acordes.online Mi cancionero

Ae Dil Hai Mushkil Title Track

Acordes de Misc Soundtrack

Tono: Re menor (Dm)

Tonalidad: Ebm
Capo en el traste 1
WATCH MY COVER OF THIS SONG: https://www.youtube.com/watch?v=j21Un3AN4D0
[Intro]
Tu safar mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Tu mera Khuda
Tu hi duaa mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
[Verse 1]
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
[Chorus]
Junoon hai mera
Banoon main tere qaabil
Tere bina guzaara
Ae Dil Hai Mushkil
[Verse 2]
Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahi
Jitna hua tera
Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera
Mera aasmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
[Chorus]
Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
[Instrumental]
Dm Bb C Am
[Bridge]
Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai
Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu be-khabar
Mohtaaz manzil
Ka toh nahi hai
Ye ek tarfa mera safar
Safar Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
[Chorus]
Adhura hoke bhi
Hai ishq mera kaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil

¿Qué tocamos ahora?

Más canciones de Misc Soundtrack

Tono Orig.
Vel. 5

Explora el cancionero

Artistas de la A a la Z

Géneros